Wednesday, December 7, 2011

Adhoore Sapne...


Saahil se Kinara chuth gaya,
mujhse mera taqdeer ruth gaya...
Reth ki tarah waqt fisal gaya,
jo muthi mein sama gaya woh pal jee liya...

Kati dor toh udti patang giri hain,
haarke gire huye maine apna wajood khoya...
Aina sach bole kahan sirf aks dikhaye hain,
ruh ko kabhi woh chu hi nahi paya...

Andhere ko lau ki talash hain,
chuppe huye inn ansuo ko muskurahat ki pyaas hain...
patange ko jalne ki chah hain,
mujhe uss pyaar ko paane ki aas hain...

No comments:

Post a Comment